Ye juth ko bolna aasan nahi hota kya?
Juth bolne wala pareshan nahi hota kya?
Itne juth sune hei na meine iss duniya mein
Sochti hu ab is se koi hairan nahi hota kya?
Kamaal ki baat aayi hei abh ke is zehan mein
Juth se laziz kanhi koi pakwaan nahi hota kya?
Abh koi bhi kirdaar dil mein utarta hi nahin
Badlte chehron mein insaan nahi hota kya?
Naye zamane ke naye se tarike hei janti hun
Par koi yanha abh pashemaan nahi hota kya?
Adhuri kahaniya aur tutte sapno ki khanak
Aissi kahaniyon ka koi unvan nahi hota kya?
Kaise log khel jaate hei zindagiyon se aksar
Batao na, kya inka koi imaan nahi hota kya?
Yeh jo pal bhar ki apni khushiyon ke khatir
Rulate hei inka dil lahu luhan nahi hota kya?
Juth ka yeh akelapan inko khalta nahi kya
Inka dil juth bolte bolte viraan nahi hota kya?
Mujhe samjao na tum kya alag hei inn mein
Inke pero me zameen sar aasman nahi hota kya?
Accha bas sirf itna samja do mujhe aaj tum
Inka koi apna is juth pe qurbaan nahi hota kya?
Hum unse naraz to hei magar shikayat kyun nahi karte
Bahot kuch tutt raha hei ander fir bagawat kyun nahi karte
Baate aur bahane banate firte ho aap to aajkal aksar
Agar nahi hei mohabbat to hume rukshat kyun nahi karte
Dil agar na lage to na sahi, ishq ko kabhi majburi na karna
Inkaar bhi to sirf lafz hei, kehne ki himmat kyun nahi karte
Kaanch ke tukde se zyada mamuli hei aapke liye hum
Varna sabh karte hei to aap humari kimat kyun nahi karte
Dil mein shayad abh bhi de rakha hei thikana kisi aur ko
Varna hume chahne ki kabhi aap inayat kyun nahi karte
Hota aapke dil mein thoda sa bhi humara khayal agar jaana
Inn roti aankhon par zara si bhi aap rehmat kyun nahi karte
Humare kehne par ki nahi hei ishq aapko, sar jhuka lete hei
Kabhi mohabbat ye mukamal hei ki hidayat kyun nahi karte
तू मेरा वो चाँद है.. जिसे में पाना नहीं चाहती
झगड़े तो बहोत करने है.. पर सताना नहीं चाहती
हर सुबह तेरी आवाज़ से उठना चाहती हूँ
दिन में तेरे नाम पर मुस्कुराना चाहती हूँ
हर शाम तेरा ही चेहरा देखना चाहती हूँ
में बस तुझे चाहती हूँ.. ये ज़माना नहीं चाहती
तू मेरा वो चाँद है.. जिसे में पाना नहीं चाहती
दिल के अरमानों पर बस तेरा ही पेहरा है
मेरी हर ग़ज़ल में तू ही तो आ के ठहरा है
आईने में भी अब लगता है तेरा ही चेहरा है
तेरे ख़यालों में बह जाना है.. बचना नहीं चाहती
तू मेरा वो चाँद है.. जिसे में पाना नहीं चाहती
इन कानों को तेरी आवाज़ से सुकून मिलता है
तुझे मुस्कुराता देखूँ तो मेरा जहान खिलता है
कैसे बताऊ की तेरे सिवा कुछ नहीं दिखता है
तू मेरे दिल का वो तराना है.. जिसे में गाना नहीं चाहती
तू मेरा वो चाँद है.. जिसे में पाना नहीं चाहती
ख्वाहिशें अपनी सारी सीमाएँ पार कर चुकी है
और आरज़ू अब थोड़ा सा बेहक भी चुकी है
दिल की धड़कन मेरी तेरे नाम पर रुकी है
बस यूँही रहना चाहती हूँ.. में तुम्हें खोना नहीं चाहती
तू मेरा वो चाँद है.. जिसे में पाना नहीं चाहती
तू मेरा वो चाँद है.. जिसे में पाना नहीं चाहती
Kya tum mujhe vo pehle wale tum lauta sakte ho?
Jo muskura kar mujhse baatein kiya karta tha
Jo raat ko khatam nahi hone dena chahta tha
Jo kitni kitni ghazalein mujhe sunaya karta tha
Jo apni khamoshi se bhi mujhe hasaya karta tha
Kya tum mujhe vo pehle wale tum lauta sakte ho?
Jiske dil mein nayi khwahishe naye armaan the
Jo meri baatein dil se suna aor samja karta tha
Jo baat be baat ke pyaar ki baat cheda karta tha
Jise mujhse mohabbat thi, haan mujhse mohabbat thi
Kya tum…
Kya tum mujhe vo pehle wale tum lauta sakte ho???
Kamaal ye bhi tha jabb apno ne hi iss sine pe khanjar rakh diye
Ras-bhare lehje mein hi sahi.. khun-rez manzar rakh diye
Guzar hi rahe the dard ki aatish par kadam rakh rakh kar
Ye bhi kaafi na hua to raah mein rishton ke patthar rakh diye
Khwaishon ki naav samunder mein meri dubo na sake jab
Kayi kayi ilzaamon ko tabh bun kar mere sar par rakh diye
Ruth bhi jaau to sawaal ye hei ki aakhir kon manane aayega
Vahi to log hei jisne mere samne sikayaton ke daftar rakh diye
Meine socha tha mita hi du manzilon ke sare ke sare aksh
Chal na sakenge jin raho par, mere samne vo safar rakh diye
Intezaar mai ab ghadiya bitne lagi hei
Laal jodde me har suhagan sajne lagi hei
Vrat ke sath sath tap bhi karne lagi hei
Mang piya ke naam ka sindur bharne lagi hei
Solah shringar kar sajne sawarne lagi hei
Mann mei mann ki aas abh dharne lagi hei
Maa karwa ki murat abh banne lagi hei
Suhagan ki shaam aaj nikharne lagi hei
Piya ki lambi umer ki prathna karne lagi hei
Bhukh pyas bhul kar gane gunane lagi hei
Chand ke intezaar mai shaam dhalne lagi hei
Dil ki aarzoo abh kuch aur machalne lagi hei
Har taraf pyaar ki khusboo mehakne lagi hei
Maa karwa ki katha kano me gunjne lagi hei
Uff tere ishq ne meri jaan kamaal hi kamaal kar diya
Khud ko hi rok ke humne khud par hi sawaal kar diya
Aankhein teri vo gehre samunder ki gehraai lagti hei
Aur hum ubhar hi nahi paate ye kaisa nidhaal kar diya
Ab to daman-e-yaar ke muntazir rehne lage hei hum
Kaise bin dekhe hi aapne humko yunh behaal kar diya
Vo sharmate huve muskura kar aapka pyaar chupa lena
Ufff jaana… samjo ki iss dil pe kasb-e-kamaal kar diya
Iss ishq ki talab badhte hi ja rahi he har pal har lamha
Rokte rokte khud ko aakhir humne arz-e-haal kar diya
Chupaye aapse ab kya apne dil ke haalat meri jaan
Chahaton ne aapki humei chu kar be-misaal kar diya
Kyun lagta hei ki bas khayal hei aur bikhar jayega?
Ye bhi to ho sakta hei ki dil mein mere sanwar jayega
Ashqon se humne mana ki hei ye dosti bahot purani
Par khwaish ban kar shayad sanson mei utar jayega
Aashmano mein par felaye hei humne kayi barso baad
Ab batao hawa ka jhonka ban kar vo kidhar jayega?
Tasweer bana li hei jiski aankhon mein humne jaana
Vo batao na yunhi kaise aankhon se meri utar jayega?
Kahani nahi koi rooh mein basi huyi dastaan hei voh
Be-rang si padi is dil ki raah ko rangon se bhar jayega..
Yunhi #be-sabab kabhi tumhe #dekha kare
Dil kehta hei ki aaj bas tumhe dekha kare
Na #manzilon ki fikr na rasto ka humei darr
#Humsafar bana kar bas tumhe dekha kare
Na khushi se wasta na gam se ho #parhez
Har sham ko paas apne tumhe dekha kare
#Sunheri subah ki pehli kiran mein bi dekhe
Aur #raat ki #silvaton mein tumhe dekha kare
Teri #aankhon ke aayine mein khud ko dekhe
Aur apne dil ki #gehraai mein tumhe dekha kare
Bas itni aarzu hei…
Tera naam likha tuje yaad likha
Iss dhadakte dil ki fariyaad likha
Tujhe khwaab likha ehsaas likha
Dil ko jo kare mere aabaad likha
Mohabbat ka koi saaz nahi likha
Har bandhan se bas azaad likha
Muntazir aankhon ki tadap likha
Nayi si hasraton ki buniyaad likha
Targhib-e-tarab bhi keh diya tuje
Lafzon ko tere haaye, irshaad likha
(Targhib-e-tarab: temptation of joy)
Kya kahu tumhe.. ki dil pe kitne pathar rakhe hei
Kaise kahu jaana.. logo ne kitne khanjar rakhe hei
Jab bhi sochti hu tumse bichadna hoga ek din mujhe
Dil tutta hei.. magar aansuon pe ab sabar rakhe hei
Zubaan pe baar baar tera hi naam kyun aata rehta hei
Kyun dil kehta hei.. ki sath mei bahot pehar rakhe hei
Jo teri hi dhun pe thirakne lagti hu mein muskura kar
Bata na.. aisse konse meri jaan tumne hunar rakhe hei
Teri aawaz, teri saansein sun hi kar sukun milta hei ab
Par afsos.. inn khushiyon mein bhi kitne kehar rakhe hei
Dil ke zakhmo ko zinda rakhna hei
Simte armano ko zinda rakhna hei
Taaviz nahi kahi apne paas fir bhi
Kuch khwabo ko zinda rakhna hei
Bujh na paye dil mei jalti hui roshni
Sambhal is lau ko zinda rakhna hei
Patjhar mein patte to girte rahenge
Par darkhaton ko zinda rakhna hei
Naye naye shabdon me purani ronak
Yunh bhi ghazalon ko zinda rakhna hei
Hume sirf aaj kal ka ab nahin sochna
Aane wale barson ko zinda rakhna hei
Hume naye armaan sanjote rehna hei
Aur apne sapno ko zinda rakhna hei
Jaise udta baaz dekh le apni manzil
Hume apni udaano ko zinda rakhna hei
टुटी, बिखरी, सिमटी राहों पर चलना छोड़ दिया मैंने
अंधेरों में बैठ कर ख़्वाब सुनहरे देखना छोड़ दिया मैंने
हर बार उम्मीद की कश्ती जा कर डुबी बीच मँझधार
कश्तियों पर अब उम्मीद के पंख लगाना छोड़ दिया मैंने
लोग तो बहुत मिलते है इस सफ़र में, दिल नहीं मिलते
ना जहाँ दिल मीले, हाथ वहाँ मिलाना छोड़ दिया मैंने
जब कभी दिल से निभाए रिश्ते, गहरी ठोकर ही पायी
अब युहं हुआ की ख़ुद से भी निभाना छोड़ दिया मैंने
हर एक हँसी पर लगते है ग़मों के क़र्ज़ सुद के साथ
जब यह जाना तो ऐ दिल मुस्कुराना छोड़ दिया मैंने
Roti aankhon ke khamosh shabd bolte hei
Chikh chikh kar apna thikana khojte hei
Aankhon mein dafn ho rahe nanhe nanhe armaan
Siskiyon mein chand raaz hum aaj kholte hei
Taad se ped jukte nahi aor imaan ka pata nahi
Iss sehar ke log sikko se rishto ko tolte hei
Jalte deep gharo se buja kar ke log yanha
Dil mein jalti aag keliye kiwaad* kholte hei
[kiwaad = door]
Kahan pe thahren, kahan ruke ye man aawara
Har raah guzar pe kadam rakhte hi dolte hei
Mithe ka to choriye, ynha ka khel nirala hei
Swad keliye namak ki jagah zehar gholte hei
Apni baate chupa rakhte hei band tijori mei
Aor dusre ke kisso ka maze le kar rolte* hei
[rolte = spreading]
Mein batau vo mere dil se kaise utar gaya?
Mohabbat ki baate kar ke pal me mukar gaya..
Jo kehta tha mere bina dil nahi lagta uska
Kisi aur ki bahon mein bejijak hi thehar gaya..
Tutta sisakta chor kar ke muje apne haal par
Vo apni hawas me behta chala kidhar gaya..
Haan use hakk tha khusi apni talaash kar le
Par jaate jaate ajeeb vo mera haal kar gaya..
Tutte hath paanv aur dil le kar sisakti rahi me
Aur vo apne kiye har waade se mukar gaya..
Mein batau vo mere dil se kaise utar gaya??
Bichde huve kisi zamane jaisi hu
Ek bikhri dorr suljaane jaisi hu
Tutti hui si abh surat hai lekin
Tabassum ke ek aayine jaisi hu
Mai adhura sa koi khwab sahi
Muskurate kisi parinde jaisi hu
Aazma le sau baar, e zindagi
Mai gungunate kisi tarane jaisi hu
Raat ko jaag kar dekhoge kabhi
Kisi ke sapne suhane jaisi hu
Andhero ki sisak pe ruki sham
Mai raat vo behak jaane jaisi hu
Behti hui aankhon ke paani si
Mai sitaron me sajane jaisi hu
Bhul jaoge tum apne sab aayam
Ghazal mai ek aazmane jaisi hu